giitaayan An Interface to ISB

gariibo.n kaa pasiinaa bah rahaa hai - Nayaa Aadmi (1956)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Madan Mohan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
gariibo.n kaa pasiinaa bah rahaa hai -2 ye paanii bahate-bahate kah rahaa hai -2 kabhii vo din bhii aa_egaa ye paanii ra.ng laa_egaa -2 gariibo.n kaa pasiinaa ... ye buu.nde.n dekh lenaa ek din tuufaan laa_e.Ngii zamii.n to hai zamii.n ye aasamaa.N ko bhii hilaa_e.Ngii gariibo.n ke gharo.n tak chal ke khud bhagavaan aa_egaa ye paanii ra.ng laa_egaa ... sitam kaa had se ba.Dh jaanaa tabaahii kii nishaanii hai badalate hai.n sabhii ke din puraanii ye kahaanii hai zamaanaa ek din girate hu_o.n ko uThaa_egaa ye paanii ra.ng laa_egaa ... agar jal kar kisii majabuur ne fariyaad kar Daalii to qudarat ke Kazaane dekhanaa ho jaa_e.Nge khaalii zamii.n phaT jaa_egii suuraj kaa golaa TuuT jaa_egaa kabhii vo din bhii aa_egaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.