giitaayan An Interface to ISB

charanadaas ko piine kii jo aadat na hotii - Pehali Jhalak (1954)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Hemant Kumar | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
charanadaas ko piine kii jo aadat na hotii to aaj miyaa.N baahar biivii andar na sotii botal se pyaar kiyaa buraa mere yaar kiyaa ghar-ghar me.n jhaga.Daa din-raat kaa ye raga.Daa botal ke chaske ne haay mujhe maar diyaa botal se yaaro.n jo ulfat na hotii to aaj miyaa.N baahar ... mu.Nh se lage phir zaalim na chhuuTe shaam pa.De hii badan saaraa TuuTe nazaro.n me.n ghuume.n dukaan sharaab kii naak me.n aa_e Kushbuu kabaab kii is par mazaa ki khaalii ho paakiT nazaro.n me.n ghuume.n phir biivii kaa laakiT miTTii ke bhaav jaa ke bech aa_e motii to aaj miyaa.N baahar ... jevar se kapa.Daa kapa.De se bartan botal ke paanii me.n Duub gayaa saaraa dhan diyaa naa saal bhar kiraayaa makaan kaa cha.Dh gayaa sir par karjaa paThaan kaa dekho jii haule-haule apanaa ye haal hu_aa beTaa amiir kaa Than-Than-gopaal hu_aa bik ga_e suuT-buuT rah ga_ii ghotii to aaj miyaa.N baahar ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.