giitaayan An Interface to ISB

ab teraa i.ntezaar kaun kare - Joru Ka Bhaai (1955)  

Lyrics: Sahir | Music: Jaidev | Singer(s): Lata / Talat 
View in Nagari (Hindi)
suramaii raat hai sitaare hai.n aaj dono.n jahaa.N hamaare hai.n subah kaa i.ntezaar kaun kare - 2 phir yah rut yah samaa mile na mile aarzuu kaa chaman khile na khile vaqt kaa aitabaar kaun kare subah kaa i.ntezaar kaun kare le bhii lo ham ko apanii baaho.n me.n ruuh bechain hai nigaaho.n me.n iltejaa baar baar kaun kare subah kaa i.ntezaar kaun kare % Talat version na_ii raat Dhalatii jaatii hai ruuh Gam se pighalatii jaatii hai terii zulfo.n se pyaar kaun kare ab teraa i.ntazaar kaun kare tum ko apanaa banaa ke dekh liyaa ek baar aazamaa ke dekh liyaa baar baar aitabaar kaun kare ab teraa i.ntazaar ... ai dil-e-zaar soGavaar na ho unakii chaahat me.n beqaraar na ho haay, badanasiibo.n se pyaar kaun kare ab teraa i.ntazaar ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.