giitaayan An Interface to ISB

raajuu kaa hai ek Kvaab raajuu raajaa saahab - Raja Saab (1969)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
raajuu kaa hai ek Kvaab raajuu raajaa saahab raajuu kaa hai ek ... raaj hai naa taaj hai phir bhii mai.n huu.N raajaa saahab raajuu kaa hai ek ... mere ho.nTho.n pe jo hai.n dukh bharii kahaaniyaa.N mujhako inase pyaar hai ye hai.n merii raaniyaa.N are ye hai.n merii raaniyaa.N meraa bhii nahii.n javaab raajuu kaa hai ek ... mai.n raaho.n me.n hii sahii mai.n ma.nzil pe naa sahii achchhaa maanaa Thiik hai mere dil pe naa sahii are mere dil pe naa sahii mere Gam pe hai shabaab raajuu kaa hai ek ... merii mahafil me.n suno afasaane hai.n dard ke majabuurii kii mastiyaa.N paimaane hai.n dard ke are paimaane hai.n dard ke aa.Nsu_o.n kii hai sharaab raajuu kaa hai ek ... % % Part 2: % jinakii qismat me.n kaa.NTe vo Kvaab na dekhe.n kaliyo.n ke kaliyaa.N mahalo.n kii raunak aur kaa.NTe raahii galiyo.n ke raajuu kaa thaa ek Kvaab raajuu raajaa raajaa saahab -2 raaj thaa naa taaj thaa phir bhii mai.n thaa raajaa saahab raajuu kaa thaa ek ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.