giitaayan An Interface to ISB

jaaduu bhare nainaa tihaare balam - Raftaar (1955)  

Lyrics: Nakshab | Music: Shivram | Singer(s): Shamshad 
View in Nagari (Hindi)
ho o jaaduu bhare nainaa jaaduu bhare nainaa tihaare balam -2 tore sar kii qasam jaaduu Daar gaye haa.N-haa.N tore sar kii qasam jaaduu Daar gaye haay hame.n maar gaye ho hame.n maar gaye jaaduu bhare nainaa ( bholii-bhaalii najar ga_ii dil me.n utar ) -2 hu_aa wo hii ki jisakaa thaa pahale se Dar chupake-chupake -2 idhar luT ga_ii zindagii -2 aur udhar beKabar hii rahaa beKabar baa.Nkii tirachhii najariyaa ke tiir gaye manavaa ko chiir karejavaa ke paar gaye haay haay raam karejavaa ke paar gaye haay re hame.n maar gaye ho hame.n maar gaye jaaduu bhare nainaa ( pyaarii-pyaarii adaa le ga_ii dil churaa ) -2 phir to aa.Nkho.n hii aa.Nkho.n me.n jaaduu kiyaa chorii-chorii -2 hu_ii.n saarii rasame.n adaa -2 dil kii baazii me.n dil par naa qaabuu rahaa dekho-dekho mohabbat kii riit gaye duniyaa se jiit sajanavaa se haar gaye haay haay raam sajanavaa se haar gaye haay re hame.n maar gaye ho hame.n maar gaye jaaduu bhare nainaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.