giitaayan An Interface to ISB

baabul kaa ghar chho.D ke gorii - Rakhi (1949)  

Lyrics: Sarshar Sailani | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Chorus 
View in Nagari (Hindi)
baabul kaa ghar chho.D ke gorii ho ga_ii aaj paraa_ii re Dolii dekh jiyaaraa Dole aa.Nkh niir bhar aa_ii re ( nyaarii jag kii riit rii sakhiyaa.N kaun kisii kaa miit rii sakhiyaa.N ) -2 jhuuThii sabakii (?) kisane priit nibhaa_ii re baabul kaa ghar chho.D ke gorii ho ga_ii aaj paraa_ii re Dolii dekh jiyaaraa Dole aa.Nkh niir bhar aa_ii re jin galiyo.n me.n bachapan biitaa kholii aa.Nkh jawaanii ne un galiyo.n se kiyaa kinaaraa sakhiyo.n kii paTaraanii ne bha_iiyaa kaa man bhar-bhar aaye rot chalii maa jaa_ii re baabul kaa ghar chho.D ke gorii ho ga_ii aaj paraa_ii re Dolii dekh jiyaaraa Dole aa.Nkh niir bhar aa_ii re pii ke pyaar me.n kho kar gorii hamako bhuul naa jaanaa roz nahii.n to kabhii-kabhii do ak_shar likh bhijawaanaa dhiire-dhiire madhur suro.n me.n yahii kahe shahanaa_ii re ( baabul kaa ghar chho.D ke gorii ho ga_ii aaj paraa_ii re Dolii dekh jiyaaraa Dole aa.Nkh niir bhar aa_ii re ) -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.