giitaayan An Interface to ISB

tumhaare li_e hu_e badanaam na bhuule phir bhii - Shabnam (1949)  

Lyrics: Qamar Jalalabadi | Music: S D Burman | Singer(s): Mukesh, Shamshad 
View in Nagari (Hindi)
mu : tumhaare li_e hu_e badanaam na bhuule phir bhii tumhaaraa naam tum jaano yaa na jaano ( tumhaarii marzii ) -2 sha : jaa_o jii jaa_o aa_e ba.De ( mohabbat karane vaale ) -2 hame.n chho.D kar biich nadii me.n ( paar utarane vaale ) -2 mu : chaahe laakho.n do ilzaam ham to kab se bane gulaam tum maano yaa na maano ( tumhaarii marajii ) -2 sha : tum paradesii paradesii tum paradesii tum harajaa_ii phir kyaa hamase mel jaa_o jaa kar aur kisii se khelo pyaar kaa khel mu : hame.n auro.n se kyaa kaam tumhaare binaa nahii.n aaraam tum jaano yaa na jaano ( tumhaarii marzii ) -2 sha : tum bhii zaraa jalane kaa mazaa lo ( hame.n jalaane vaale ) -2 ham kyaa jaane.n kaun ho tum o ( hame.n manaane vaale ) -2 mu : ham to aa_e.Nge subah-shaam ham to kare.nge roj salaam pahachaano naa pahachaano ( tumhaarii marzii ) -3 tumhaare li_e hu_e badanaam ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.