giitaayan An Interface to ISB

jaag aa.Nkhe.n khol ... kahaa.N teraa insaaf hai - Sargam (1979)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
jaag aa.Nkhe.n khol chup kyo.n hai bol mere bhagavan ye kyaa ho rahaa hai -2 kahaa.N teraa insaaf hai kahaa.N teraa dastuur hai ( mai.n to huu.N majabuur o bhagavan ) -2 kyaa tuu bhii majabuur hai kahaa.N teraa insaaf ... sab kahate hai.n tuune har abalaa kii laaj bachaa_ii aaj hu_aa kyaa tujhako tere naam kii raam duhaa_ii aisaa zulm hu_aa to hogii terii hii rusavaa_ii -2 ( aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu bhare hai.n ) -2 dil bhii Gam se chuur hai kahaa.N teraa insaaf ... kaisaa atyaachaar hai shaadii hai yaa vyaapaar hai daulat me.n sab zor hai dharm ba.Daa kamazor hai bikate hai.n sa.nsaar me.n insaa.n bhii baazaar me.n duniyaa kii ye riit hai bas paise kii jiit hai aisaa agar nahii.n hai to sach bhagavaan kahii.n hai to mere saamane aa_e vo ye vishvaas dilaa_e vo -3
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.