giitaayan An Interface to ISB

jaan\-e\-jaanaa.N tumhaare pyaar me.n shaitaan ban gayaa huu.N - Sasural (1961)  

Lyrics: Hasrat | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
jaan-e-jaanaa.N tumhaare pyaar me.n shaitaan ban gayaa huu.N kyaa-kyaa bananaa chaahaa thaa be_iimaan ban gayaa huu.N jaan-e-jaanaa.N tumhaare ... ham to diivaane hai.n tere naam ke dil luTaa baiThe hai.n jigar thaam ke ishq ne hamako nikammaa kar diyaa varanaa ham bhii the aadamii kaam ke itanaa mai.n gir chukaa huu.N ki haivaan ban gayaa huu.N kyaa-kyaa bananaa ... ab to bas patthar kii ek tasviir huu.N yaa samajh lo ek but-e-piir huu.N apane pairo.n me.n ba.Ndh ga_ii jo pyaar me.n aisii ek ulajhii hu_ii za.njiir huu.N haalat ko dekh ke hairaan ban gayaa huu.N kyaa-kyaa bananaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.