giitaayan An Interface to ISB

musaafir hai.n ham\-tum ye duniyaa saraay - Sim Sim Marjeenaa (1958)  

Lyrics: Asad Bhopali | Music: A R Qureshi | Singer(s): Rafi, Mubarak Begum, Sudha Malhotra 
View in Nagari (Hindi)
musaafir hai.n ham-tum ye duniyaa saraay idhar ko_ii aa_e udhar ko_ii jaa_e ye jalave ye naGame.n ye mahafil suhaanii ye husn aur mohabbat kii ra.ngii.n kahaanii yahaa.N kii har ek chiiz hai aanii jaanii vo naadaan hai inase jo dil lagaa_e musaafir hai.n ham tum ... har ek chiiz me.n hai na_ii zindagaanii vo naadaan hai jo yahaa.N tak na aa_e musaafir hai.n ham tum ... zamaanaa hu_aa hai na hogaa kisii kaa tamaashaa hai saaraa gha.Dii do gha.Dii kaa bharosaa na karanaa kabhii zindagii kaa naa maaluum kab saa.Ns aa_e na aa_e musaafir hai.n ham tum ... ye duniyaa hai do gha.Dii kaa tamaashaa na karanaa yahaa.N zindagii kaa bharosaa naa baakii rahe ko_ii dil kii tamannaa adhuurii kahii.n daastaa.n rah na jaa_e musaafir hai.n ham tum ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.