giitaayan An Interface to ISB

saaqiyaa aaj mujhe nii.nd nahii.n aayegii - Sahib Bibi Aur Ghulam (1962)  

Lyrics: Shakeel | Music: Hemant Kumar | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
aa : saaqiyaa -2 saaqiyaa aaj mujhe nii.nd nahii.n aayegii nii.nd nahii.n aayegii saaqiyaa aaj mujhe nii.nd nahii.n aayegii sunaa hai terii mahafil me.n ratajagaa hai aa.Nkho.n-aa.Nkho.n me.n yuu.N hii raat guzar jaayegii sunaa hai terii mahafil me.n ratajagaa hai ko : saaqiyaa aaj mujhe nii.nd nahii.n aayegii sunaa hai terii mahafil me.n ratajagaa hai aa.Nkho.n-aa.Nkho.n me.n yuu.N hii raat guzar jaayegii sunaa hai terii mahafil me.n ratajagaa hai -2 aa : aa saaqii hai aur shaam bhii ulfat kaa jaam bhii ho taqadiir hai usii kii jo le inase kaam bhii ra.ng-e-mahafil hai raat bhar ke liye ko : ra.ng-e-mahafil hai raat bhar ke liye aa : sochanaa kyaa abhii sahar ke liye ko : sochanaa kyaa abhii sahar ke liye aa : ra.ng-e-mahafil hai raat bhar ke liye sochanaa kyaa abhii sahar ke liye teraa jalawaa ho terii suurat ho aur kyaa chaahiye nazar ke liye -2 aaj suurat terii beparadaa nazar aayegii ko : sunaa hai terii mahafil me.n ratajagaa hai saaqiyaa aaj mujhe nii.nd nahii.n aayegii sunaa hai terii mahafil me.n ratajagaa hai -2 aa : aa mohabbat me.n jo miT jaataa hai wo kuchh kah nahii.n sakataa haa.N ye wo kuuchaa hai jisame.n dil salaamat rah nahii.n sakataa kisakii duniyaa yahaa.N tabaah nahii.n ko : kisakii duniyaa yahaa.N tabaah nahii.n aa : kaun hai jisake lab pe aah nahii.n ko : kaun hai jisake lab pe aah nahii.n aa : kisakii duniyaa yahaa.N tabaah nahii.n kaun hai jisake lab pe aah nahii.n husn par dil zaruur aayegaa isase bachane kii ko_ii raah nahii.n -2 zindagii aaj nazar milate hii luT jaayegii ko : sunaa hai terii mahafil me.n ratajagaa hai aa : o o o ko : saaqiyaa aaj mujhe nii.nd nahii.n aayegii aa : aa aa aa ko : aa.Nkho.n-aa.Nkho.n me.n yuu.N hii raat guzar jaayegii sunaa hai terii mahafil me.n ratajagaa hai -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.