mujhe bhuul jaanaa agar ho sake -2
na phir yaad aanaa agar ho sake
mujhe bhuul jaanaa ...
meraa pyaar guzare zamaane kii hai baat
rahe yaad kyuu.N bhuul jaane kii baat
nahii.n ko_ii aa.Nsuu bahaane kii baat
na aa.Nsuu bahaanaa agar ho sake
mujhe bhuul jaanaa ...
mujhe maaf karanaa mere hamasafar
kahii.n kho gayaa mai.n tumhe.n chho.D kar
tumhe.n maine aa.Nsuu di_e hai.n magar
sadaa muskaraanaa agar ho sake
mujhe bhuul jaanaa ...
|