giitaayan An Interface to ISB

vaadaa haa.N vaadaa jab tak ambar par taare ho.n - The Burning Train (1980)  

Lyrics: Sahir | Music: R D Burman | Singer(s): Kishore, Asha 
View in Nagari (Hindi)
vaadaa haa.N vaadaa jab tak ambar par taare ho.n aur dharatii par phuul khile.n isii jagah aur isii tarah ham do matavaale roz mile.n samajhe karo vaadaa haa.N jii haa.N vaadaa dekho ab bichha.De na mil ke nigaah kahaa hai to ham sadaa kare.nge nibaah tapii-tapii dhulii-dhulii saa.Nse.n hai.n gavaah ji_e.N chaahe mare.n ab ghaTegii na chaah jab tak nadiyo.n me.n paanii ho aur pe.Do.n ke haath hile.n isii jagah aur isii ... dekho kal Dhuu.NDhe nahii.n hamako ye raah judaa ho ke jiinaa ho to jiinaa hai Gunaah mile ye sadaa yuu.Nhii baa.Nho.n kii panaah ghaTe na kabhii meraa pyaar hai athaah vaadaa bolo bol diyaa na vaadaa phuul bichhe ho.n is raste me.n yaa kaa.NTo.n se paa.Nv chhile.n isii jagah aur isii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.