giitaayan An Interface to ISB

prem kaa hai is jag me.n - President (1937)  

Lyrics:  | Music: R C Boral | Singer(s): Saigal, Pahari Sanyal 
View in Nagari (Hindi)
prem kaa hai is jag me.n pa.nth niraalaa prem to hai is duniyaa me.n kaaraN duHkh kaa premii ko hotaa hai anubhav sukh kaa shiital pavan hai usako prem kii jvaalaa (2) prem kaa hai is jag me.n pa.nth niraalaa prem japan kii jag me.n riit hai nyaarii asuvan ke manako.n par prem pujaarii ro-ro kar japataa hai prem kii maalaa (2) prem kaa hai is jag me.n pa.nth niraalaa paagal premii ab tuu kyo.n rotaa hai, prem kaa to aisaa hii phal hotaa hai (2) pahale kaahe na tuune dekhaa-bhaalaa (3)
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.