giitaayan An Interface to ISB

kaise bataa_uu.n mai.n tumhe.n mere li_e - Wajood (1998)  

Lyrics: Javed Akhtar | Music: Annu Malik | Singer(s): Nana Patekar 
View in Nagari (Hindi)
kaise bataa_uu.n mai.n tumhe.n mere li_e tum kaun ho kaise bataa_uu.n kaise bataa_uu.n mai.n tum dha.Dakano.n kaa giit ho jiivan kaa tum sa.ngiit ho tum zi.ndagii tum ba.ndagii tum roshanii tum taazagii tum har khushii tum pyaar ho tum priit ho manamiit ho aa.Nkho.n me.n tum yaado.n me.n tum saa.Nso.n me.n tum aaho.n me.n tum nii.ndo.n me.n tum khvaabo.n me.n tum tum ho merii har baat me.n tum ho mere din raat me.n tum subah me.n tum shaam me.n tum soch me.n tum kaam me.n mere li_e paanaa bhii tum mere li_e khonaa bhii tum mere li_e ha.Nsanaa bhii tum mere li_e ronaa bhii tum aur jaaganaa sonaa bhii tum jaa_uu.n kahii.n dekhuu.n kahii.n tum ho vahaa.n tum ho vahii.n kaise bataa_uu.n mai.n ... ye jo tumhaaraa ruup hai ye zi.ndagii kii dhuup hai chandan se tarashaa hai badan bahatii hai jisame.n ik agan ye shokhiyaa.n ye mastiyaa.n tumako havaa_o.n se milii.n zulfe.n ghaTaa_o.n se milii.n ho.nTho.n me.n kaliyaa.n khil ga_ii.n aa.Nkho.n ko jhiile.n mil ga_ii.n chehare me.n simaTii chaa.Ndanii aavaaz me.n hai raaginii shiishe ke jaisaa a.ng hai phuulo.n ke jaisaa ra.ng hai nadiyo.n ke jaisii chaal hai kyaa husn hai kyaa haal hai ye jism kii ra.ngiiniyaa.n jaise hazaaro.n titaliyaa.n baaho.n kii ye golaa_iyaa.n aa.Nchal me.n ye parachhaa_iyaa.N ye nagariyaa hai khvaab kii kaise bataa_uu.n mai.n tumhe.n haalat dil-e-betaab kii kaise bataa_uu.n mai.n ... kaise bataa_uu.n mai.n tumhe.n mere li_e tum dharm ho mere li_e iimaan ho tumhii.n ibaadat ho merii tumhii.n to chaahat ho merii tumhii.n meraa aramaan ho takataa huu.N mai.n har pal jise tumhii.n to vo tasviir ho tumhii.n merii taqadiir ho tumhii.n sitaaraa ho meraa tumhii.n nazaaraa ho meraa yuu.n dhyaan me.n mere ho tum jaise mujhe ghere ho tum puurab me.n tum pashchim me.n tum uttar me.n tum daxiN me.n tum saare mere jiivan me.n tum har pal me.n tum har xaN me.n tum mere li_e rastaa bhii tum mere li_e ma.nzil bhii tum mere li_e saagar bhii tum mere li_e saahil bhii tum mai.n dekhataa bas tumako huu.N mai.n sochataa bas tumako huu.N mai.n jaanataa bas tumako huu.N mai.n maanataa bas tumako huu.N tumhii.n merii pahachaan ho kaise banaa_uu.n mai.n tumhe.n devii ho tum mere li_e mere li_e bhagavaan ho kaise bataa_uu.n mai.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.