ikke ko baadashaah ne maaraa baadashaah jo beGam se haaraa
aur Gulaam a a am qismat kaa maaraa bechaaraa
ye zindagii hai ek ju_aa kabhii jiit bhii kabhii haar bhii
yahaa.N dushmano.n kii bhii.D me.n jaa mil jaa_e.nge tujhe yaar bhii
tuu khelataa jaa khelataa jaa baaziyo.n pe baaziyaa.n -2
ye zindagii hai ek ju_aa ...
ek baazii tuune jiitii ek baazii maine haarii
kaun jiitaa kaun haaraa ye hai qissaa baad kaa
ye zindagii hai ek ju_aa ...
jab talak hai band muTThii vo hai pyaare laakh kii
aur jaise hii khilii ho jaa_egii vo Kaaq kii
laakh kyaa aur Kaaq kyaa ye hai kissaa baad kaa
ye zindagii hai ek ju_aa ...
ye zamaanaa mujhase hai mai.n zamaane se nahii.n
har fasaanaa mujhase hai mai.n fasaane se nahii.n
ek din zaalim jahaa.N merii dostii doharaa_egaa
ye zindagii hai ek ju_aa ...
|