giitaayan An Interface to ISB

kahaa.N wo bachapan kaa pyaaraa sapanaa - Adhikar (1938)  

Lyrics: Munshi Arzoo/ Rasheed | Music: Timir Baran | Singer(s): Pahari Sanyal, Pankaj Mullick 
View in Nagari (Hindi)
kahaa.N wo bachapan kaa pyaaraa sapanaa -2 swarg bharii wo prem kii rainaa -2 kahaa.N wo bachapan kaa pyaaraa sapanaa ( bagiyan me.n mil-jul ke jaanaa phuulo.n kaa wo mahal banaanaa ) -2 dulhaa-dulhan ban byaah rachaanaa -2 aa.Nchal Dhal ko jan me.n phiranaa pyaaraa sapanaa kahaa.N wo bachapan kaa pyaaraa sapanaa ( haay achaanak hu_aa saveraa jag maayaa ne man ko gheraa ) -2 uja.D gayaa wo rain baseraa -2 TuuT gayaa ha.Nso.n kaa Dainaa -2 kahaa.N wo bachapan kaa pyaaraa sapanaa % Dainaa: feather swarg bharii wo prem kii rainaa -2 kahaa.N wo bachapan kaa pyaaraa sapanaa ( ab wo din hai.n na prem kii raate.n yaad magar hai.n pyaar kii baate.n ) -2 man lene kii bholii ghaate.n -2 laaj bhare tore do nainaa -2 pyaaraa sapanaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.