giitaayan An Interface to ISB

ai dil tujhe ab unase ye kaisii shikaayat hai - Shararat (Pakistan) (1963)  

Lyrics: Masroor Anwar | Music: Deboo Bhattacharya | Singer(s): Masood Rana 
View in Nagari (Hindi)
ai dil tujhe ab unase ye kaisii shikaayat hai wo saamane baiThe hai.n kaafii ye inaayat hai ai dil tujhe ab unase mat dekh unhe.n ai dil, is tarah muhabbat se is tarah muhabbat se afasaanaa banaa le.nge logo.n kii to aadat hai ai dil tujhe ab unase gulashan se judaa hokar phuulo.n ne ye jaanaa hai phuulo.n ne ye jaanaa hai is duniyaa me.n ha.Nsane kii kitanii ba.Dii qiimat hai ai dil tujhe ab unase shamaa mere jalane par ik roz pashemaa.N ho ik roz pashemaa.N ho parawaane ke siine me.n is baat kii hasarat hai ai dil tujhe ab unase ( taqadiir se jab puuchhaa luTane kaa sabab kyaa hai luTane kaa sabab kyaa hai ) -2 ha.Ns kar kahaa diiwaane, diiwaane ha.Ns kar kahaa diiwaane ye dil kii sharaarat hai ai dil tujhe ab unase ye kaisii shikaayat hai wo saamane baiThe hai.n kaafii ye inaayat hai ai dil tujhe ab unase
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.