giitaayan An Interface to ISB

hame.n ko_ii Gam hai tumhe.n ko_ii Gam hai - Bhaagam Bhaag (1956)  

Lyrics: Majrooh | Music: O P Nayyar | Singer(s): Asha, Rafi 
View in Nagari (Hindi)
aa : ( hame.n ko_ii Gam hai tumhe.n ko_ii Gam hai muhabbat kar, zaraa nahii.n Dar, kise kal kii Kabar hai ) -2 ra : hame.n bha_ii Dar hai ( yahaa.N to Gam kaa saath hai Kushii ik jhuuthii baat hai ) -2 aa : ( uThaa nazaro.n ko beKabar ajab jalawo.n kii raat hai ) -2 pahalii nazar me.n, dil me.n jigar me.n jalawo.n kaa ra.ng bhar le muhabbat kar, zaraa nahii.n Dar, kise kal kii Kabar hai ra : hame.n bha_ii Dar hai ( ha.Nsii ho.nTho.n pe kho ga_ii jawaanii hamako ro ga_ii ) -2 aa : ( balam kyuu.N duur jaaye tuu mohabbat me.n hai zi.ndagii ) -2 pahalii nazar me.n, dil me.n jigar me.n jalawo.n kaa ra.ng bhar le muhabbat kar, zaraa nahii.n Dar, kise kal kii Kabar hai ra : hame.n bha_ii Dar hai ra : ( zaraa ko_ii hamako thaamanaa chhalak jaaye Gam kaa jaam naa ) -2 aa : ( ganiimat hai ye raat bhii hai dil se dil kaa saamanaa ) -2 pahalii nazar me.n, dil me.n jigar me.n jalawo.n kaa ra.ng bhar le muhabbat kar, zaraa nahii.n Dar, kise kal kii Kabar hai ra : hame.n bha_ii Dar hai ra : ( kahuu.N kyaa kaisii der hai Kushii ko dil se bair hai ) -2 aa : ( mohabbat kyaa hai baalamaa dilo.n kaa her-pher hai) -2 pahalii nazar me.n, dil me.n jigar me.n jalawo.n kaa ra.ng bhar le muhabbat kar, zaraa nahii.n Dar, kise kal kii Kabar hai hame.n ko_ii Gam hai tumhe.n ko_ii Gam hai muhabbat kar, zaraa nahii.n Dar, kise kal kii Kabar hai ra : hame.n bha_ii Dar hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.