giitaayan An Interface to ISB

is duniyaa se niraalaa huu.N mai.n jaaduugar matawaalaa huu.N - Raagini (1958)  

Lyrics: Jaan Nisar Akhtar | Music: O P Nayyar | Singer(s): Asha, Geeta 
View in Nagari (Hindi)
gii : is duniyaa se niraalaa huu.N mai.n jaaduugar matawaalaa huu.N mere giit me.n wo jaaduu hai paa.Nv tere ruk jaaye.nge -2 chhip chhip hamako dekhane waalii -2 nain tere muskaaye.nge is duniyaa se niraalaa huu.N mai.n jaaduugar matawaalaa huu.N aa : taan rasiilii gaa kar tuune meraa man laharaayaa re -2 ( mai.n to yahii jaanuu.N bas itanaa hii maanuu.N tuune jaaduu aan jagaayaa re ) -2 kaise ruuTh sake.nge tujhase jaan ke ham ban jaate hai.n -2 gii : dekho dekho kaise ham tum -2 ruuTh ke phir man jaate hai.n is duniyaa se niraalaa huu.N mai.n jaaduugar matawaalaa huu.N
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.