giitaayan An Interface to ISB

kuchh aisaa chhe.D ... tujhe dekh ke machal gayaa aaj meraa man - Raagini (1958)  

Lyrics: Qamar Jalalabadi | Music: O P Nayyar | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
kuchh aisaa chhe.D uma.ngo.n kaa raag aaj kii raat ke jaa_e Kaab jawaanii ke jaag aaj kii raat zamaanaa jisako mohabbat kii aag kahataa hai dil-o-jigar me.n lagaa de.n wo aag aaj kii raat aa.N ( tujhe dekh ke machal gayaa aaj meraa man mere dil kii paayal baaje saiyaa.N chhan chhan chhan mere dil kii paayal baaje saiyaa.N chhan chhan chhan ) -2 wo muskuraaye inaayat isii ko kahate hai.n nazar churaaye sharaarat isii ko kahate hai.n ye miiThii aa.Nkh michaulii ye dillagii ye adaa ajii huzuur muhabbat isii ko kahate hai.n aa.N ( tujhe dekh ke machal gayaa aaj meraa man mere dil kii paayal baaje saiyaa.N chhan chhan chhan mere dil kii paayal baaje saiyaa.N chhan chhan chhan ) -2 aa tuu hai saliim meraa mai.n terii anaarakalii qubuul kar merii ulfat kii purabahaar kalii o taajadaar mere ishq kii bahaar hai tuu khilaa de aaj mere dil kii bekaraar kalii aa.N ( tujhe dekh ke machal gayaa aaj meraa man mere dil kii paayal baaje saiyaa.N chhan chhan chhan mere dil kii paayal baaje saiyaa.N chhan chhan chhan ) -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.