giitaayan An Interface to ISB

ha.ngaamaa hai kyuu.N barapaa tho.Dii sii jo pii lii hai - Mehdi Hassan And Ghulam Ali (Non-Film) (1994)  

Lyrics: Akbar Allahabadi | Music:  | Singer(s): Ghulam Ali 
View in Nagari (Hindi)
prelude ye alag baat hai saaqii ke mujhe hosh nahii.n varanaa mai.n kuchh bhii huu.N ehasaan-faraamosh nahii.n % Live In India version starts from here mai.n terii mast-nigaahii kaa bharam rakh luu.Ngaa hosh aayaa bhii to kah duu.Ngaa mujhe hosh nahii.n ha.ngaamaa hai kyuu.N barapaa tho.Dii sii jo pii lii hai Daakaa to nahii.n Daalaa chorii to nahii.n kii hai us may se nahii.n matalab dil jisase ho begaanaa makasuud hai us may se dil hii me.n jo khi.nchatii hai suuraj me.n lage dhabbaa fitarat ke karishme hai.n but hamako kahe.n Kaafir allaah kii marzii hai naatajurbaakaarii se vaa_iz kii ye baate.n hai.n is ra.ng ko kyaa jaane puuchho jo kabhii pii hai waa.N dil me.n ki sadame.n do, yaa.N jii me.n ki sab sah lo unakaa bhii ajab dil hai, meraa bhii ajab jii hai har zarraa chamakataa hai anawaar-e-ilaahii se har saa.Ns ye kahatii hai ham hai.n to Kudaa bhii hai the following was not in the versions I heard e shauq wahii may pii ai hosh zaraa so jaa mehamaan-e-nazar is dam ik bark-e-tazalii hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.