giitaayan An Interface to ISB

nainaa tose laage - Meraj-E-Ghazal (Non-Film) (1983)  

Lyrics: Naqsh Lyallpuri | Music: Ghulam Ali | Singer(s): Ghulam Ali, Asha 
View in Nagari (Hindi)
nainaa tose laage, saarii rainaa jaage tuune churaa_ii morii ni.ndiyaa tuu hii chain churaaye merii saa.Nso.n me.n laharaa_ii a.ng me.n Kushbuu ghole miiThaa miiThaa dard jagaa_e nas nas me.n tuu Dole saa.Njh savere ho.nTho.n pe bhii naam teraa hii aaye saawan maas kii dhuup saa gorii teraa ruup salonaa ek jhalak me.n kar gayaa roshan man kaa konaa konaa ra.ng hazaaro.n tuune mere jiiwan me.n bikharaaye mast hawaa_e.n shaam suhaanii bhiinii rut ke mele sabako terii aas ho jaise sab hai.n aaj akele aa.Ngan merii tanhaa_ii kaa tujh bin kaun sajaaye to.D ke rasmo.n kii za.njiire.n aa dono.n mil jaaye.n sapane mahake.n aashaa_o.n ke phuul sabhii khil jaaye.n jo dono.n ke biich hai pal me.n wo duurii miT jaaye
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.