giitaayan An Interface to ISB

tamaam umr teraa i.ntazaar hamane kiyaa - Suraag (Non-Film) (1989)  

Lyrics: Hafeez Hoshiarpuri | Music:  | Singer(s): Ghulam Ali 
View in Nagari (Hindi)
prelude terii baate.n hii sunaane aaye dost bhii dil hii dukhaane aaye phuul khilate hai.n to ham sochate hai.n tere aane ke zamaane aaye kyaa kahii.n phir ko_ii bastii uja.Dii log kyuu.N jashn manaane aaye so raho maut ke pahaluu me.n 'faraaz' nii.nd kis waqt na jaane aaye tamaam umr teraa i.ntazaar hamane kiyaa is i.ntazaar me.n kis kisase pyaar hamane kiyaa % shers not of this ghazal ko_ii milataa hai to ab apanaa pataa puuchhataa huu.N mai.n terii khoj me.n tujhase bhii pare jaa nikalaa to.D kar dekh liyaa aa_iinaa-e-dil tuune terii suurat ke siwaa aur bataa kyaa nikalaa talaash-e-dost ko ik umr chaahiye ai dost ke ek umr teraa i.ntazaar hamane kiyaa sher not of this ghazal dabaa ke kabr me.n sab chal diye du_aa na salaam zaraa sii der me.n kyaa ho gayaa zamaane ko 'qamar' zaraa bhii nahii.n tumako Kauf-e-ruswaaii 'qamar' zaraa bhii nahii.n tujhako Kauf-e-ruswaaii ke chaa.Ndanii me.n chale ho unhe.n manaane ko tere Kayaal me.n dil shaadamaa rahaa baraso.n tere huzuur ise sogawaar hamane kiyaa ye tishnagii hai ke unase qariib rah kar bhii 'hafiiz' yaad unhe.n baar baar hamane kiyaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.