giitaayan An Interface to ISB

yuu.N sajaa chaa.Nd ki chhalakaa tere a.ndaaz kaa ra.ng - Meraj-E-Ghazal (Non-Film) (1983)  

Lyrics: Faiz | Music: Ghulam Ali | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
## This is the Ghazal as it appears in Faiz's original. ## ## In Asha's recording there are a few changes: "chhalakaa" ## ## for "jhalakaa" and "shiishaa-o-mai" for "shiishaa-e-mai". ## ## Ghulam Ali sings the last verse in live performances. ## yuu.N sajaa chaa.Nd ki jhalakaa tere a.ndaaz kaa ra.ng yuu.N fazaa mahakii ki badalaa mere hamaraaz kaa ra.ng saayaa-e-chashm me.n hairaa.N ruKh-e-raushan kaa jamaal surKhii-e-lab me.n pareshaa.N terii aawaaz kaa ra.ng bepi_e huu.N ki agar lutf karo aaKhir-e-shab shiishaa-e-mai me.n Dhale subah ke aaGaaz kaa ra.ng cha.ng-o-nai ra.ng pe the apane lahuu ke dam se dil ne lay badalii to maddham huaa har saaz kaa ra.ng ek suKhan aur ki phir ra.ng-e-takallum teraa harf-e-saadaa ko inaayat kare ejaaz kaa ra.ng %
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.