mu: saavan kaa mahiinaa, pavan kare sor
la: pavan kare shor
mu: pavan kare sor
la: pavan kare shor
mu: are bAbA shor nahI.n sor, sor, sor
la: pavan kare sor
hA.n, jiyaraa re jhuume aise, jaise banamaa naache mor
ho saavan kaa mahiinaa ...
maujavaa kare kyaa jaane, hamako ishaaraa
jaanaa kahaa.N hai puuchhe, nadiyaa kii dhaaraa
marazii hai tumhaarii, le jaao jis or
jiyaraa re jhuume aise ...
raamaa gajab Dhaae, ye purava_iyaa
na_iyaa sambhaalo kit, khoe ho khiva_iyaa
purava_iyaa ke aage, chale naa koii zor
jiyaraa re jhuume aise ...
jinake balam bairii, gae hai.n bidesavaa
laa_ii hai jaise unake, pyaar kaa sa.ndesavaa
kaalii a.ndhiyaarii, ghaTaae.n ghanaghor
jiyaraa re jhuume aise ...
|