giitaayan An Interface to ISB

sab kuchh luTaa ke hosh me.n aa_e to kyaa kiyaa - Ek Saal (1957)  

Lyrics: Prem Dhawan | Music: Ravi | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
#Lata version na puuchho pyaar kii hamane vo haqiiqat dekhii vafaa ke naam pe bikatii hu_ii ulfat dekhii kisii ne luuT liyaa aur hame.n Kabar na hu_ii khulii jo aa.Nkh to barbaad muhabbat dekhii sab kuchh luTaa ke hosh me.n aa_e to kyaa kiyaa din me.n agar charaaG jalaa_e to kyaa kiyaa (mai.n vo kalii huu.N jo na bahaaro.n me.n khil sakii) -2 vo dil huu.N jisako pyaar kii ma.nzil na mil sakii ma.nzil na mil sakii patthar pe hamane phuul cha.Dhaa_e to kyaa kiyaa (jo mil na sakaa pyaar Gam kii shaam to mile)-2 ik bevafaa se pyaar kaa a.njaam to mile (ai maut jald aa) -2 zaraa aaraam to mile do din Kushii ke dekh na paa_e to kyaa kiyaa # Talat version karate rahe Kizaa.N se ham saudaa bahaar kaa badalaa diyaa to kyaa ye diyaa unake pyaar kaa sab kuchh luTaa ke hosh me.n aaye to kyaa kiyaa? -2 din me.n agar charaaG jalaaye to kyaa kiyaa? sab kuchh luTaa ke hosh me.n aaye to kyaa kiyaa? -2 ham badanasiib pyaar kii rusavaa_ii ban gaye -2 Kud hii lagaa ke aag tamaashaa_ii ban gaye, tamaashaa_ii ban gaye daaman se ab ye shole bujhaaye to kyaa kiyaa? din me.n agar charaaG jalaaye to kyaa kiyaa? sab kuchh luTaa ke hosh me.n aaye to kyaa kiyaa? -2 le-le ke haar phuulo.n ke aa_ii to thii bahaar -2 nazare.n uThaake hamane hii dekhaa na ek baar dekhaa na ek baar aa.Nkho.n se ab ye parade haTaaye to kyaa kiyaa? din me.n agar charaaG jalaaye to kyaa kiyaa? sab kuchh luTaa ke hosh me.n aaye to kyaa kiyaa? -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.