giitaayan An Interface to ISB

shaam\-e\-Gam kii qasam, aaj Gamagii.n hai.n ham - Footpath (1953)  

Lyrics: Sardar Jafri, Majrooh | Music: Khayyam | Singer(s): Talat 
View in Nagari (Hindi)
shaam-e-Gam kii qasam aaj Gamagii.n hai.n ham aa bhii jaa aa bhii jaa aaj mere sanam shaam-e-Gam kii qasam dil pareshaan hai.n raat viiraan hai.n dekh jaa kis tarah aaj tanahaa hai.n ham shaam-e-Gam kii qasam chain kaisaa jo pahaluu me.n tuu hii nahii.n maar Daale na dard-e-judaaI kahii.n rut ha.nsii.n hai.n to kyaa chaa.Ndanii hai to kyaa chaa.Ndanii zulm hai aur judaaI sitam shaam-e-Gam kii qasam ab to aajaa ke ab raat bhii so gaI zindagii Gam ke seharaav me.n kho gaI (2) Dhuu.NDhatii hai.n nazar tuu kahaa.N hai.n magar dekhate dekhate aayaa aa.Nkho.n me.n Gam shaam-e-Gam kii qasam
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.