giitaayan An Interface to ISB

shuruu hotaa hai phir baato.n kaa mausam - Shole (1975)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: R D Burman | Singer(s): Kishore, Manna Dey, Bhupinder, Anand Bakshi, chorus 
View in Nagari (Hindi)
shuruu hotaa hai phir baato.n kaa mausam suhaanii chaa.Ndanii raato.n kaa mausam bujhaae.N kis tarah dil kii lagii ko lagaae.N aag ham is chaa.Ndanii ko ki chaa.Nd saa koii chaharaa na pahaluu me.n ho arz kiyaa hai ... haay, ki chaa.Nd saa koii chaharaa na pahaluu me.n ho to chaa.Ndanii kaa mazaa nahii.n aataa are, jaam piikar sharaabii na gir jaae to -2 mayakashii kaa mazaaa nahii.n aataa ki chaa.Nd saa koii chaharaa ... zi.ndagii hai mukammal adhuurii nahii.n chaa.Nd saa koii chaharaa zaruurii nahii.n husn saiyyaad hai, ishq fariyaad hai ye jo do naam hai.n, dono.n badanaam hai.n tum to naadaan ho, Gam ke mehamaan ho dil zaraa thaam lo, aql se kaam lo agarach roshanii hotii hai saahab sab chiraaGo.n se zaraa saa farq hotaa hai dilo.n me.n aur dimaaGo.n me.n ai mere dosto.n, aql se kaam lo baat dil kii karo kyo.nki... sher dil ko na ta.Dapaake rakh de agar to shaayarii kaa mazaa nahii.n aataa ki chaa.Nd saa koii chaharaa ... sharbatii aa.Nkh ke dushmano.n se bacho reshmii zulf kii ulajhano.n se bacho vo galii chho.D do, ye bharam to.D do yuu.N na aahe.n bharo, in se taubaa karo ye jo diladaar hai.n, sab sitamagar hai.n dil jo dete hai.N ye, to jaan lete hai.n ye vafaa ke naam ko aashiq kabhii rusvaa nahii.n karate kaTaa dete hai.n vo sar ko kabhii shikavaa nahii.n karate dil machal jaane do, tiir chal jaane do, dam nikal jaane do aur, maut se aadamii ko agar Dar lage to zi.ndagii kaa mazaa aataa nahii.n ki chaa.Nd saa koii chaharaa ... ishq me.n yaad kuchh aur hotaa nahii.n aashiqii Kuub kii, dil se mahabuub kii yaad jaatii nahii.n, nii.nd aatii nahii.n dard khilataa nahii.n, chain milataa nahii.n yaa Kudaa kyaa kare.n, ham davaa kyaa kare.n davaa dard-e-jigar kii puuchhate ho tum diivaane se ye dil kii aag bujhegii faqat aa.Nsuu bahaane se yah sitam kis lie, Gam ho kam kis lie, roe.n ham kis lie kyo.nki... aag par koii paanii agar Daal de to dillagii kaa mazaa aataa nahii.n chaa.Nd sa koii chaharaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.