giitaayan An Interface to ISB

terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai ki mar jaaye.n - House No. 44 (1955)  

Lyrics: Sahir | Music: S D Burman | Singer(s): Hemant 
View in Nagari (Hindi)
terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai ki mar jaae.n vohii aa.Nsuu, vohii aahe.n, vohii Gam hai.n jidhar jaae.n terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai kii mar jaae.n koii to aisaa ghar hotaa jahaa.N se pyaar mil jaataa vohii begaane chehare hai.n jahaa.N pahu.Nche jidhar jaae.n terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai kii mar jaae.n are o aasamaa.N vaale bataa isame.n buraa kyaa hai khushii ke chaar jho.nke gar idhar se bhii guzar jaae.n terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai kii mar jaae.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.