giitaayan An Interface to ISB

tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa - Khandaan (1965)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Ravi | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho koii merii aa.Nkho.n se dekhe to samajhe, ki tum mere kyaa ho tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho jidhar dekhatii huu.N udhar tum hii tum ho na jaane magar kin khayaalo.n me.n gum ho mujhe dekhakar tum zaraa muskuraa do nahii.n to mai.n samajhuu.Ngii, mujhase Kafaa ho tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho tumhii.n mere maathe kii bi.ndiyaa kii jhil-mil tumhii.n mere haatho.n ke gajaro.n kii ma.nzil mai.n huu.N ek chhoTii-sii maaTii kii gu.Diyaa tumhii.n praaN mere, tumhii.n aatmaa ho tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho bahut raat biitii chalo mai.n sulaa duu.N pavan chhe.De sargam mai.n lorii sunaa duu.N tumhe.n dekhakar yah Kayaal aa rahaa hai ki jaise farishtaa koii so rahaa hai tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.