tuu is tarah se merii zi.ndagii me.n shaamil hai
jahaa.N bhii jaauu.N ye lagataa hai, terii mahafil hai
ye aasamaan ye baadal ye raaste ye havaa
har ek chiiz hai apanii jagah Thikaane pe
ka_ii dino.n se shikaayat nahii.n zamaane se
ye zi.ndagii hai safar tuu safar ki ma.nzil hai, jahaa.N bhii ...
har ek phuul kisii yaad saa mahakataa hai
tere khayaal se jaagii huii fizaae.n hai.n
ye sabz pe.D hai.n yaa pyaar kii duaae.n hai.n
tuu paas ho ki nahii.n phir bhii tuu mukaabil hai, jahaa.N bhii ...
har ek shay hai muhabbat ke nuur se roshan
ye roshanii jo naa ho zi.ndagii adhuurii hai
raah-e-vafaa me.n koii hamasafar zaruurii hai
ye raastaa kahii.n tanahaa kaTe to mushkil hai, jahaa.N bhii ...
rafii: ## --- --- --- --- --- ##
## (first stanza same as above ...) ##
tere bagair jahaa.N me.n koii kamii sii thii
bhaTak rahii thii javaanii a.ndherii raaho.n me.n
sukuun dil ko milaa aa ke terii baaho.n me.n
mai.n ek khoI huii mauj huu.N tuu saahil hai, jahaa.N bhii ...
tere jamaal se roshan hai kaayanaat merii
merii talaash terii dilakashii rahe baakii
khudaa kare kii ye diivaanagii rahe baakii
terii vafaa hii merii har khushii kaa haasil hai, jahaa.N bhii ...
|