giitaayan An Interface to ISB

ye hasarat thii ke is duniyaa me.n bas do kaam kar jaate - Nausherwaan-e-Aadil (1957)  

Lyrics: Parvez Shamsi | Music: C Ramchandra | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
yah hasarat thii ke is duniyaa me.n bas do kaam kar jaate tumhaarii yaad me.n jiite, tumhaare Gam me.n mar jaate yah duniyaa Duubatii tuufaan aataa is qayaamat kaa agar dam bhar ko aa.Nkho.n me.n merii aa.Nsuu Thahar jaate tumhaarii yaad aa-aakar mere nashtar chubhotii hai magar na dil ke saare zaKm itane din me.n bhar jaate kahaa.N tak dukh uThaae.n terii furqat aur judaaii ke agar maranaa hii thaa ek din, na kyuu.N phir aaj mar jaate
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.