giitaayan An Interface to ISB

ye mahalo.n, ye taKto.n, ye taajo.n kii duniyaa - Pyaasa (1957)  

Lyrics: Sahir | Music: S D Burman | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
ye mahalo.n, ye taKto.n, ye taajo.n kii duniyaa ye inasaa.n ke dushman samaajo.n kii duniyaa - 2 ye daulat ke bhuukhe rivaazo.n kii duniyaa ye duniyaa agar mil bhii jaaye to kyaa hai - 2 har ek jism ghaayal, har ek ruh pyaasii nigaaho me.n ulajhan, dilo.n me udaasii ye duniyaa hai yaa aalam-e-badahavaasii ye duniyaa ... jahaa.N ek khilaunaa hai inasaa.n kii hastii ye bastii hai murdaa-parasto.n kii bastii jahaa.N aur jiivan se hai maut sastii ye duniyaa ... javaanii bhaTakatii hai bezaar banakar javaa.n jism sajate hai baazaar banakar jahaa.N pyaar hotaa hai vyaapaar banakar ye duniyaa ... ye duniyaa jahaa.N aadamii kuchh nahii.n hai vafaa kuchh nahii.n, dostii kuchh nahii.n hai - 2 jahaa.N pyaar ki kadr hii kuchh nahii.n hai ye duniyaa ... jalaa do, jalaa do ise phuu.Nk Daalo ye duniyaa mere saamane se haTaa lo ye duniyaa tumhaarii hai tum hii sambhalo ye duniyaa, ye duniyaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.