giitaayan An Interface to ISB

zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa ##mukesh gazal ## - (Non-Film)  

Lyrics: Jaan Nisar Akhtar | Music: Khayyam | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa muaaf kar naa sakii merii zindagii mujhako vo ek lamhaa ki mai.n tujhase ta.ng aayaa thaa shaguftaa phUl simaT kar kalii bane jaise kuchh is tarah se tUne badan churaayaa thaa guzar gayaa hai koI lamhaa-e-sharar kii tarah abhii to mai.n use pahachaan bhii na paayaa thaa pataa nahii.n ki mere baad unape kyaa guzarii mai.n chaa.Nd khvaab zamaane me.n chho.D aayaa thaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.