giitaayan An Interface to ISB

bhulaa nahii.n denaa, jii bhulaa nahii.n denaa - Baaraadari (1955)  

Lyrics: Khumar Barabankvi | Music: Nashad | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
bhulaa nahii.n denaa jii bhulaa nahii.n denaa zamaanaa kharaab hai daGaa nahii.n denaa aa.Nkho.n me.n sapane jhuum rahe.n hai.n giit labo.n ko chuum rahe.n hai.n giito.n ko aahe.n banaa nahii.n denaa zamaanaa kharaab hai ... aa.Nkho.n me.n mastii chhaayii huii hai nii.nd sii mujhako aayii huii hai nii.nd se mujhako jagaa nahii.n denaa zamaanaa kharaab hai ... zi.ndagii aa.Nkhe.n malane lagii hai shammaa sii dil me.n jalane lagii hai shammaa jalaa ke bujhaa nahii.n denaa zamaanaa kharaab hai ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.