giitaayan An Interface to ISB

aaj bhii suuraj Duub gayaa hai - Naag Mani (1972)  

Lyrics: Fayyaz Hashmi | Music: Nisar Bazmi | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
shaam Dhale to pa.nkh pakheruu lauT ke ghar aa jaa_e jinake saajan paas naa ho vo asu_an diip jalaa_e aaj bhii suuraj Duub gayaa hai aaj bhii tum nahii.n aa_e man ko jhuuThii aas dilaake Dhal ga_e shaam ke saa_e aaj bhii suuraj Duub gayaa hai aaj bhii tum nahii.n aa_e pal-pal saarii rain guzaaruu.N Cham-Cham niir baahaake har aahaT par tumako pukaaruu.N saajan mai.n ghabaraake kaise-kaise sapane mujhako paagal man dikhalaa_e aaj bhii suuraj Duub gayaa hai aaj bhii tum nahii.n aa_e jab-jab aa_e yaad tumhaarii ik pal chain naa paa_uu.N ba.nd naa ho.nge nain jharokhe chaahe mai.n mar jaa_uu.N baiThii rahuu.Ngii raah me.n yuu.N hii pyaase nain biChaa_e aaj bhii suuraj Duub gayaa hai aaj bhii tum nahii.n aa_e
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.