giitaayan An Interface to ISB

haay haay haay ye nigaahe.n - Paying Guest (1957)  

Lyrics: Majrooh | Music: S D Burman | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
shammaa jalatii hai jale, raat Dhalatii hai Dhale chho.D ke aisii mahafil, ham nahii.n jaane vaale haay haay haay haay ye nigaahe.n kar de sharaabii jise chaahe.n jise chaahe.n mai.n to bhuul gayaa raahe.n haay haay haay ye nigaahe.n ... raat hasii.n hai javaa.N hai.n nazaare jhuum chale ham dil ke sahaare aaj koii hamako na pukaare e he he he tobaa tobaa, ye nigaahe.n may kii botal jaisii baahe.n haay! haay haay haay ye nigaahe.n ... yuu.N jo samaa bahakaa bahakaa ho ham bhii zaraa bahake to mazaa ho e he he he he hu.N hu.N hu.N yuu.N jo samaa bahakaa bahakaa ho ham bhii zaraa bahake to mazaa ho aa.Nkh piye aur dil ko nashaa ho rokatii hai.n merii raahe.n may kii botal jaisii baahe.n haay! haay haay haay ye nigaahe.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.