giitaayan An Interface to ISB

baalii umariyaa bhajan karuu.N kaise - Sanyasi (1975)  

Lyrics: Vitthal Bhai Patel | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Lata, Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
la: baalii, baalii umariyaa bhajan karuu.N kaise cha.Dhatii jawaanii jogan banuu.N kaise mu: jhuuThaa, jhuuThaa guru kaa vachan karuu.N kaise saadhu huu.N teraa sajan banuu.N kaise jhuuThaa la: ho, chaal merii bahakii, nazar merii Dolii -2 chhuuT gayaa bachapan, badal gayii bolii mu: terii tuu jaan mujhe chho.D de akelaa mai.n na ban paauu.Ngaa, saadhu se chhailaa maayaa me.n man ko magan karuu.N kaise la: cha.Dhatii jawaanii ... mu: naa ghar kii paravaah, naa logo.n kaa Dar hai -2 aisii kyaa terii hii cha.Dhatii umar hai la: jaane kyo.n tujh par na ko_ii asar hai terii aur merii baraabar umar hai naazuk, naazuk kamariyaa sambhal chaluu.N kaise mu: saadhu huu.N teraa ... mu: baar baar tujhako ye kaise samajhaauu.N -2 tujhase ko_ii rishtaa mai.n jo.D nahii.n paauu.N la: laaj lage batiyaa.N mai.n kaise bataauu.N aisaa naa ho mai.n ku.Nwaarii rah jaauu.N ThaNDii, ThaNDii ye man kii agan karuu.N kaise mu: saadhu huu.N teraa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.