giitaayan An Interface to ISB

ek dam ... chillam kaa ek dam - Aalingan (1974)  

Lyrics: Jan Nisar Akhtar | Music: Jaidev | Singer(s): Asha, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
ek dam bas ek dam sirf ek dam bhulaa detaa hai saare zindagii ke Gam chillam kaa ek dam, bas ek dam, sirf ek dam bhulaa detaa hai saare zindagii ke Gam lagaa le dam pe dam kahaa.N ke ra.nj-o-Gam zamaanaa hamase hai, zamaane se nahii.n ham nashiilaa ye dhuaa.N u.Daa kar dekh le nayaa ik aasamaa.N banaa kar dekh le niraalaa ik jahaa.N basaa kar dekh le jawaa.N jaaduu hai ye, jagaa kar dekh le bahakane de zaraa, yu.Nhii zaraa, apane qadam chillam kaa ek dam ... rivaajo.n par na jaa inhe.n jhuThalaaye jaa ye duniyaa dhuul hai ise Thukaraaye jaa nashaa ba.Dhataa rahe yuu.Nhii laharaaye jaa jo tere dil me.n hai, use apanaaye jaa zamaanaa kuchh nahii.n, kuchh bhii nahii.n, sab kuchh hai.n ham chillam kaa ek dam ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.