giitaayan An Interface to ISB

jahaa.N mai.n jaatii huu.N vahii.n chale aate ho - Chori Chori (1956)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Lata, Manna Dey 
View in Nagari (Hindi)
la: jahaa.N mai.n jaatii huu.N vahii.n chale aate ho chorii chorii mere dil me.n samaate ho ye to bataao ki tum mere kaun ho ma: dil se dil kii lagan kii ye baat hai pyaar kii raah jatan kii ye baat hai mujhase na puuchho ki tum mere kaun ho la: o, mai.n to shor machaa_uu.Ngii, shor machaa_uu.Ngii karanii tumhaarii sab ko bataa_uu.Ngii khair jo chaaho chale jaao mere dar se chho.Do ye aanaa jaanaa dil kii Dagar se ye to bataao ki tum mere kaun ho ... ma: o, mai.n ne kyaa buraa kiyaa hai, kyaa buraa kiyaa hai dil de kar hii dil le liyaa hai kisii ba.De gyaanii-dhyaanii ko bulaao abhii-abhii yahii.n faisalaa karaao mujhase na puuchho ki tum mere kaun ho ... la: o, dil hii jab hue diivaane, jab hue diivaane ma: kahanaa hamaaraa ab kaun maane la: jahaa.N mai.n jaatii huu.N vahii.n chale aate ho chorii chorii mere dil me.n samaate ho ye to bataao ki tum mere kaun ho ma: dil se dil kii lagan kii ye baat hai pyaar kii raah jatan kii ye baat hai mujhase na puuchho ki tum mere kaun ho ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.