giitaayan An Interface to ISB

apanii kaho kuchh merii suno, kyaa dil kaa lagaanaa bhuul gae - Parchhaain (1952)  

Lyrics: Noor Lucknowi | Music: C Ramchandra | Singer(s): Lata, Talat 
View in Nagari (Hindi)
la: apanii kaho kuchh merii suno kyaa dil kaa lagaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae ta: rone kii aadat aisii pa.Dii ha.Nsane kaa taraanaa bhuul gae, haa.N bhuul gae la: kaalii raate.n biit ga_ii.n phir chaa.Ndanii raate.n aaii hai.n -2 ta: dil me.n nahii.n ujiyaalaa mere Gam kii ghaTaae.n chhaaii hai.n -2 la: priit ke vaade yaad karo kyaa priit nibhaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae ta: bhuulaa huaa hai raah musaafir bichha.Daa huaa hai ma.nzil se -2 la: khoe hue raste kaa pataa tum puuchh lo Kud apane dil se -2 ta: chalate chalate aise thake ma.nzil kaa Thikaanaa bhuul gae, haa.N bhuul gae la: nazdiik aao, nazdeek aa ... yah mausam nahii.n phir aane kaa -2 ta: nazdiik shamaa ke jaane se kyaa haal huaa parvaane kaa -2 la: miTane kaa fasaanaa yaad rahaa jalane kaa fasaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae apanii kaho kuchh merii suno kyaa dil kaa lagaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.