giitaayan An Interface to ISB

jisane dil ko aa.Nsuu baKshe Gam jisakaa nazaraanaa hai - (Non-film) (1979)  

Lyrics: Zafar Gorakhpuri | Music: C K Chauhan | Singer(s): Talat Mahmood 
View in Nagari (Hindi)
jisane dil ko aa.Nsuu baKshe Gam jisakaa nazaraanaa hai ab tak usakaa dam bharataa hai dil bhii kyaa diiwaanaa hai sadiyaa.N guzarii.n phuul khile the jiivan kii a.Nganaa_ii me.n aa jaatii hai.n yaade.n jinakii jaane kyuu.N tanhaa_ii me.n ashko.n ke Kaamosh labo.n par aaj bhii ek afasaanaa hai raato.n kaa sannaaTaa jisako samajhaataa ho raaz koii yuu.N lagataa hai aaj ki jisako detaa ho aawaaz koii na jaane taqadiir me.n dil ke kab tak Thokar khaanaa hai is nagarii me.n majabuuro.n ko chaahat kaa adhikaar kahaa.N jis duniyaa kii riit ho nafarat us duniyaa me.n pyaar kahaa.N is paagal ko kyaa samajhaa_uu.N bholaa hai anajaanaa hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.