giitaayan An Interface to ISB

phuul hai bahaaro.n kaa baaG hai nazaaro.n kaa - Jigri Dost (1969)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Lata, Rafi 
View in Nagari (Hindi)
lataa : phuul hai bahaaro.n kaa, baaG hai nazaaro.n kaa aur chaa.Nd hotaa hai sitaaro.n kaa meraa tuu tuu hii tuu rafii : haa.N mauj hai kinaaro.n kii, raat beqaraaro.n kii aur rimajhim saavan kii phuhaaro.n kii merii tuu tuu hii tuu kabhii kahii.n, mai.n kho jaa_uu.N, kahaa.N Dhuu.N.Dhe kahaa.N jaa_e meraa pataa phir tuu kisase puuchhe lataa : jisake jii me.n tuu basaa hai, jisake dil me.n tuu chhupaa hai vo tujhe galiyo.n me.n kyuu.N Dhuu.N.Dhe vo tujhe galiyo.n me.n kyuu.N Dhuu.N.Dhe rafii : haa haa jaam hai mastaane kaa, ishq hai diivaane kaa aur tiir hotaa hai nishaane kaa merii tuu tuu tuu, tuu hii tuu lataa : o diivaane, mai.nne aisaa kyaa kahaa hai, kyaa hu_aa hai tuune dil kyuu.N thaam liyaa hai rafii : o hasiinaa, kyaa bataa_uu.N, tere dil ne mere dil ko pyaar bharaa paiGaam diyaa hai haa haa lataa : riit hai zamaane kii, baat hai fasaane kii aur shammaa hotii hai paravaane kii meraa tuu tuu hii tuu rafii : haa mauj hai kinaaro.n kii ... lataa : meraa tuu tuu hii tuu
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.