giitaayan An Interface to ISB

kahiye kaisaa mizaaj hai aap kaa? - Salaam Mem Saheb (1961)  

Lyrics: Asad Bhopali | Music: Ravi | Singer(s): Rafi, Asha 
View in Nagari (Hindi)
ra: kahiye kaisaa mizaaj hai aap kaa? aa: ham se kyaa vaastaa hai janaab kaa? ra: are are aap to biga.Dane lage aa: nahii.n nahii.n aap ko samajhane lage ra: kahiye kaisaa mizaaj hai aap kaa... ra: (jis din se pyaar huaa dil beqaraar huaa jiinaa dush_vaar huaa terii qasam) -2 aa: yuu.N na sataayaa karo dil na jalaayaa karo qasame.n na khaayaa karo jhuuThe balam ra: teraa diivaanaa huu.N terii qasam aa: kyaa bharosaa hai mardo.n kii zaat kaa? ra: kyaa iraadaa hai aaKir janaab kaa? aa: are are aap to biga.Dane lage ra: nahii.n nahii.n aap ko samajhane lage aa: kahiye kaisaa mizaaj hai aap kaa... aa: (nazaro.n ne jaan liyaa dil ne pahachaan liyaa lo ham ne maan liyaa apanaa tumhe.n) -2 ra: mushkil se baat banii dil ko bas hai ye Kushii tum ne samajhaa to sahii apanaa hame.n aa: dekho jii aise na dekho hame.n ra: o, saaraa jhaga.Daa thaa itanii sii baat kaa? aa: ham se kyaa vaastaa hai janaab kaa? ra: are are aap to biga.Dane lage aa: nahii.n nahii.n aap ko samajhane lage ra: kahiye kaisaa mizaaj hai aap kaa... ra: (ye rut ye pyaaraa samaa dil kii duniyaa hai javaa.N ye baate.n roz kahaa.N jaan-e-vafaa) -2 aa: aise me.n dil bhii meraa mastii me.n jhuum uThaa halkaa-halkaa saa nashaa chhaane lagaa do: ab zi.ndagii kaa mazaa aane lagaa aa: ham se kyaa vaastaa hai janaab kaa? ra: are are aap to biga.Dane lage aa: nahii.n nahii.n aap ko samajhane lage ra: kahiye kaisaa mizaaj hai aap kaa...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.