maulaa ho maulaa (2)
zi.ndagii kii aag me.n kaahe ko jalaate ho
kaaGazii shariir kaa jholaa
bhuukh miTaaye re, pyaas bujhaaye re
panii priit kaa gholaa
haiyyaa naa, haiyyaa naa, haiyyaa naa, haiyyaa
gol hai.n mol hai.n, raasate ke pahiye
gire na shariir kaa Dolaa, ho Dolaa
kal se bukhaar hai, sar pe savaar hai
suuraj aag kaa golaa, golaa, golaa, golaa
haiyyaa naa, haiyyaa naa, haiyyaa naa, haiyyaa (2)
aa.Nkhe.n hai.n kaajal hai.n, zulfo.n ke baadal hai.n
lagate hai.n din raat bhaav, bhaav
baazaarii kismo.n kii, kitane kismo.n kii
aao Kariidaro.n aao
suukhii ye fasale.n, aadamii kii nasale.n
maulaa ho maulaa ho maulaa
zi.ndagii kii aag se mukti dilaaye re
maa.Nge bhikhaariyo.n kaa Tolaa (2)
bhuukhe bhikhaariyo.n kaa Tolaa, Tolaa, Tolaa, Tolaa
bhuukh miTaaye re, pyaas bujhaaye re
panii priit kaa gholaaa
haiyyaa naa, haiyyaa naa, haiyyaa naa, haiyyaa (2)
|