giitaayan An Interface to ISB

aur nahii.n bas aur nahii.n, Gam ke pyaale aur nahii.n - Roti Kapada Aur Makaan (1974)  

Lyrics: Santosh Anand | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Mahendra Kapoor 
View in Nagari (Hindi)
aur nahii.n bas aur nahii.n, Gam ke pyaale aur nahii.n dil me.n jagah nahii.n baakii, rok najar apanii saakii to aur nahI.n bas ... 1) sapane nahii.n yahaa.N tere, apane nahii.n yahaa.N tere sachchaa_ii kaa mol nahii.n, chup ho jaa kuchh bol nahii.n pyaar priit chillaaegaa to, apanaa galaa ga.Nvaaegaa patthar rakh le siine par, qasame.n khaa le jiine par gaur nahii.n hai aur nahii.n, paravaano.n par gaur nahii.n aa.Nsuu aa.Nsuu Dhalate hai.n, a.ngaaro.n par chalate hai.n to aur nahii.n bas aur nahii.n ... 2) kitanaa pa.Dhuu.N zamaane ko, kitanaa ga.Dhuu.N zamaane ko kaun guNo.n ko ginataa hai, kaun dukho.n ko chunataa hai hamadardii kaafuur huI, nekii chakanaachuur huI jii karataa bas kho jaauu.N, kafan o.Dhakar so jaauu.N daur nahii.n ye aur nahii.n, insaano.n kaa daur nahii.n farz yahaa.N par farzii hai, asalii to khudagarzii hai to aur nahii.n bas aur nahii.n ... 3) bImaar ho gaI duniyaa, bekaar ho ga_I duniyaa marane lagii sharam ab to, bikane lage sanam ab to ye raat hai nazaaro.n kii, gairo.n ke sAth yaaro.n kii jii hai bigaa.D duu.N saarii, duniyaa ujaa.D duu.N saarii zor nahii.n hai zor nahii.n, dil pe kisii kaa zor nahii.n koii yaad machal jaae, saaraa aalam jal jaae to aur nahii.n bas aur nahii.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.