giitaayan An Interface to ISB

chho.D musaafir maayaa nagar - (Non-Film)  

Lyrics:  | Music:  | Singer(s): Pankaj Mullick 
View in Nagari (Hindi)
chho.D musaafir maayaa nagar ab prem nagar ko jaanaa hai is duniyaa kii safar ba.Dii hai jiivan kaa na Thikaanaa hai ab prem nagar ko jaanaa hai ... (aalam saaraa jaa rahaa hai teraa din bhii aa rahaa hai) - 2 (prem kaa saudaa kar le musaafir piichhe nahii.n pachhataanaa hai) -2 prem nagar ko jaanaa hai ... (putra potaa ko_ii na apanaa ko_ii na apanaa ko_ii na apanaa) -2 (maayaa rath kaa jhuuThaa sapanaa) - 2 dekh musaafir kadam kadam par jag kaa daND chukaanaa hai ab prem nagar ko jaanaa hai ... %
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.