giitaayan An Interface to ISB

ik lafz-e-muhabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai - Bereham (1980)  

Lyrics: Jigar Moradabadi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Anup Jalota, Asha 
View in Nagari (Hindi)
ik lafz-e-muhabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai simaTe to dil-e-aashiq, faile to zamaanaa hai ham ishq ke maaro.n kaa itanaa hii fasaana hai rone ko nahii.n koii ha.Nsane ko zamaanaa hai ye ishq nahii.n aasaa.N, bas itanaa samajh liije ek aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai vo husn-o-jamaal un kaa, ye ishq-o-shabaab apanaa jiine kii tamannaa hai, marane kaa zamaanaa hai ashqo.n ke tabassum me.n, aaho.n ke tarannum me.n maasuum muhabbat kaa maasuum fasaanaa hai kyaa husn ne samajhaa hai, kyaa ishq ne jaanaa hai ham Kaak-nashiino.n kii, Thokar me.n zamaanaa hai yaa vo the Kafaa ham se yaa ham the Kafaa un se kal un kaa zamaanaa thaa, aaj apanaa zamaanaa hai aa.Nsuu to bahut se hai.N aa.Nkho.n me.n 'eks' lekin bah jaaye.n to miitaa hai.n, rah jaaye.n to daanaa hai hai ishq-e-junoon peshaa, haa.N ishq-e-junoon pesha ek sitamagar ko aaj, ha.Ns ha.Ns ke rulaana hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.