giitaayan An Interface to ISB

Thahar zaraa o jaanevaale - Boot Polish (1953)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Manna Dey, Asha, Madhubala Jhaveri, chorus 
View in Nagari (Hindi)
ma: (Thahar zaraa o jaanevaale) - 2 babu misTar gore kaale kab se baiThe aas lagaa_e ham matavaale paalishavaale ko: Thahar zaraa o jaanevaale babu misTar gore kaale kab se baiThe aas lagaa_e ham matavaale paalishavaale ... aa: ye kaalii paalish ek aanaa ma: ye braa_uun paalish ek aanaa aa: juute kaa maalish ek aanaa aa/ma: har maal milegaa ek aanaa na blaism na paakhau.Dii hai na paga.Dii hai na chorii chhoTii sii dukaan lagaa_e ham matavaale paalishavaale ... ma: mehanat kaa phal miThaa miThaa ko: haa.N bhai haa.N re ma: bhaag kisiikaa ruuThaa jhuuThaa ko: naa bhai naa re ma: mehanat kii ek ruukhii roTii ko: haa.N bhai haa.N re ma: aur mufat kii dudh malaa_ii ko: naa bhai naa re laalach jo phokaT kii khaa_e laalach jo haraam kii khaa_e ham matavaale paalishavaale ... ma: pa.nDit jii ma.ntar pa.Date hai.n vo ga.ngaa jii nahalaate hai.n ko: ham peT kaa ma.ntar pa.Date hai juute kaa muh chamakaate hai ma: pa.nDit ko paa.Nch chavannii hai ko: ham ko to ek ikannii hai ma: phir bhed bhaav ye kaisaa hai ko: jab sab kaa pyaaraa paisaa hai uu.Nch niich kuchh samajh na paa_e ham matavaale paalishavaale ... %
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.